Preview

Thousands of incredible audiobooks and podcasts to take wherever you go.
Immerse yourself in a world of storytelling with the Plus Catalogue - unlimited listening to thousands of select audiobooks, podcasts and Audible Originals.
£7.99/month after 30 days. Renews automatically. See here for eligibility.

Crime Stories by Delhi Press, Season 1

By: Delhi Press
Narrated by: Babla Kochhar, Neeraj Yadav
Try for £0.00

£7.99/month after 30 days. Renews automatically.

  • Summary

  • Audible prastut karta hai Crime Stories by Delhi Press ka sankalan. Akhbaar ki surkhiyon mein kayi apraadh ke qisse dil dehla dete hain. Aakhir sach kya hai, koi hadsa kaise hua, uske peechhe kiska haath tha, apraadhi bach kar kaise nikla? Ek ghatna ke peechhe kayi raaz hote hain, chhupi huyi kahaniyan hoti hain aur gupt kadiyan hoti hain. Har kirdaar ki alag maansikta hoti hai, jise samajhne ke liye unki duniya mein jaana padta hai. Hatya, balatkaar, chori, dhokhe ki kahaniyan samaaj ke ek aise pehlu par roshni daalti hain jise samajhna mushkil aur dilchasp bhi. Sansanikhez khabaron ke peechhe romanchak kahaniyan hain jo suljhaana kathin hai. Satya ki talaash mein tehkikaat karte kirdaar aapke saamne kayi sawaal layenge. Yeh kahaniyan aapko apraadh ke uss mod tak le jayengi jahan rahasya ke saath uljhan aur halchal bhi hai. Kya aap sach ki iss khoj mein shaamil hona chaahenge?
    ©2021 Delhi Press Patra Prakashan (P)2021 Delhi Press Patra Prakashan
    Show More Show Less
activate_Holiday_promo_in_buybox_DT_T2
Episodes
  • आस्तीन का सांप
    May 12 2022
    Gazetted officer Swati Gupta ki hatya uske driver Lalchand ne kar di thi. Swati ka pati wheelchair par tha aur Lalchand uska caretaker bhi tha. Chhote-se jhagde ke kaaran Lalchand ne maalkin ki hatya kar di. Case court mein gaya aur police ne saare saboot ikattha kiye. Lalchand ko doshi paaya gaya aur mrityu dand ki sazaa sunaayi gayi. Yah bhi paaya gaya ki Lalchand ne apaahij pati ki patni ki hatya karke uska sahara chheen liya tha, aur use jurmaana bhi dena hoga.
    Show More Show Less
    18 mins
  • फर्ज का एहसास : जवानी का हिसाब लगाती शालिनी
    May 12 2022
    Shalini dhandha karti thi, usne raat bhar mein 10 hazaar rupaye kama liye the. Wapas laut rahi thi toh Inspector mila jisne use ek patrakaar ka video banaane ke liye 10 hazaar de diye. Rickshaw mein baithi toh usne driver ka wallet chura liya. Usmein 4 hazaar rupaye paaye aur ek chitthi bhi mili jismein likha tha ki bete ke ilaaj ke liye 10 hazaar rupaye chaahiye. Shalini rikshawale ko dhoondne wapas gayi, use apne iss kaam par bohot pachhtawa hua.
    Show More Show Less
    17 mins
  • नागिन से जहरीली औरत
    May 12 2022
    Sangeeta ke pati Mukesh ki ek kiraane ki dukaan thi. Ek subah Mukesh ki laash mili. Police ne uski hatya ki jaanch karni shuru ki. Iss beech Sangeeta aur Shaamji naam ka ek admi, ek saath faraar ho gaye. Police ne paheli suljhaayi. Aakhir apne pati ki hatya Sangeeta ne hi ki thi aur uska saath Shaamji ne diya the. Lekin iske peechhe kya wajah thi?
    Show More Show Less
    14 mins

What listeners say about Crime Stories by Delhi Press, Season 1

Average customer ratings

Reviews - Please select the tabs below to change the source of reviews.