Preview

Thousands of incredible audiobooks and podcasts to take wherever you go.
Immerse yourself in a world of storytelling with the Plus Catalogue - unlimited listening to thousands of select audiobooks, podcasts and Audible Originals.
£7.99/month after 30 days. Renews automatically. See here for eligibility.

Family Drama Stories by Delhi Press, Season 5

By: Delhi Press
Narrated by: Mahjabeen
Try for £0.00

£7.99/month after 30 days. Renews automatically.

  • Summary

  • Audible prastut karta hai Family Drama Stories by Delhi Press kahaniyon ka sankalan. Paarivarik sambandh gehre hote hain lekin kaafi naazuk bhi hote hain. Kayi baar ek hi ghar mein rehte huye bhi parivaar ke sadasya ek doosre ko nahin samajh paate. Lagaav ke saath ek doosre ke prati dwesh, gussa aur kadvahat aane lagti hai jab samaajik mulya aur apni soch mein antar hota hai. Shaadi ke baad aksar rishton mein badlaav aane lagta hai aur mahilaon ko ek naye parivaar mein jagah banaane mein dikkat aati hai. Saas-sasur bahu ko kabhi beti ki tarah apna lete hain aur kabhi unko paraaya samajhte hain. Samvedansheel aur manoranjak drishti se paarivarik rishton ko prastut karti yeh kahaniyan ghar, samaaj aur badalte samay ki jhalak deti hain. Har ghar ki kahani vishesh hai, lekin har kahani mein aapko apne ghar ka koi sadasya, apne parivaar ki paristhityan bhi zaroor milengi!
    ©2021 Delhi Press Patra Prakashan (P)2021 Delhi Press Patra Prakashan
    Show More Show Less
activate_Holiday_promo_in_buybox_DT_T2
Episodes
  • नहीं बचे आंसू : सुधा ने कैसे उठाया जवानी का फायदा
    May 26 2022
    Sudha ke pati ki mrityu ho gayi thi aur uske do bachche the. Uske bhai ne uski chaprasi ki naukri lagwa di. Office mein uski mulaqat Raju se huyi jo nasha karta tha. Dono ke beech sambandh ban gaye. Kuchh saalon baad Sudha ne sasuraal mein hi apna ghar bana liya. Vah ab wahin rehti thi aur ateet ko bhool chuki thi. Raju use bhula nahin paaya tha, lekin Sudha ne rishte se inkaar kar diya. Pareshaan ho kar Raju ne apni jaan de di.
    Show More Show Less
    10 mins
  • आगामी अतीत
    May 26 2022
    Bhavna jab 15 saal ki thi, uske mata-pita ka talaq ho gaya tha. Uske pita kisi aur mahila ke liye unhe chhod kar chale gaye the. Iske baad Bhavna ne nishchay kiya tha ki vah kabhi shaadi nahin karegi. Badi ho kar vah doctor bani aur ek din usne hospital mein ek jana-pehchaana chehra dekha. Uske pita wahan bharti the aur unhe lakwa ho gaya tha. Bhavna iss soch mein pad gayi ki kya kabhi uske pita ko lautne ki ichcha huyi hogi, aur kya uski ma unhe maaf kar deti?
    Show More Show Less
    15 mins
  • उपहार: आनंद ने कैसे बदला फैसला
    May 26 2022
    Kavita aur Rakesh college mein saath padhte the aur ek doosre se prem karne lage the. Lekin Kavita ke pita ne uski shaadi ameer ghar mein tay kar di thi. Kavita ko majboor ho kar Anand se shaadi karni padi. Kayi saal beet chuke the aur ab itihaas khud ko dohra raha tha. Kavita ka beta Rohit Shikha se prem karta tha. Lekin Anand ne uski shaadi ameer ghar ki ladki Gunjan se tay kar di thi. Kya Kavita iss baar kuchh kar payegi?
    Show More Show Less
    21 mins

What listeners say about Family Drama Stories by Delhi Press, Season 5

Average customer ratings

Reviews - Please select the tabs below to change the source of reviews.