Preview
  • Romance and Relationship Stories by Delhi Press, Season 15

  • By: Delhi Press
  • Narrated by: Mahjabeen
  • Podcast

Thousands of incredible audiobooks and podcasts to take wherever you go.
Immerse yourself in a world of storytelling with the Plus Catalogue - unlimited listening to thousands of select audiobooks, podcasts and Audible Originals.
£7.99/month after 30 days. Renews automatically. See here for eligibility.

Romance and Relationship Stories by Delhi Press, Season 15

By: Delhi Press
Narrated by: Mahjabeen
Try for £0.00

£7.99/month after 30 days. Renews automatically.

  • Summary

  • Audible prastut karta hai Romance and Relationship Stories by Delhi Press kahaniyon ka sankalan. Prem ke kayi rang aapko milenge inn kahaniyon mein — junoon, vaasna, sneh, lagaav, jalan aur chaahat. Jawani ke josh mein dhadakta naya pyar premiyon ko kis hadd tak le jaa sakta hai? Kayi saal se saath rehte huye ek doosre ke liye aakarshan mehsoos karna mumkin hai? Kisi teesre insaan ke aane se pyar ki dor kya kamzor padne lagti hai? Sachche pyar aur ek pal ki vaasna mein antar kaise samajh sakte hain? Sadharan logon ki asadharan prem kahaniyon ke saath kabhi aapka dil bhi pehle pyar ke ehsaas se dhadakne lagega, aur kabhi toote huye dil ke baare mein soch kar koi hasrat yaad aayegi. Chaahat, samaajik bandhan aur prem ki vibhinn paribhashaon ki iss duniya mein aapko kabhi jaani-pehchaani yaadein dikhengi aur kabhi kisi bhooli prem kahani ki kasak mil jayegi.
    ©2021 Delhi Press Patra Prakashan (P)2021 Delhi Press Patra Prakashan
    Show More Show Less
activate_Holiday_promo_in_buybox_DT_T2
Episodes
  • बर्मा के जंगलों में
    Oct 6 2022
    Bharat aur Burma ki seema par ek chote se gaon mein se jab hum guzar rahe the toh kuch hathiyaarband logon ne mera apharan kar liya. Baad mein pata chala ki mujhe galti se utha liya tha aur meri shakal kisi aise shakhs Krishnamurti se milti thi jo usi gadi mein tha aur madak padarthon ki taskari mein lipt tha. Yeh sangathan ke log kanoon ki madad karte the magar gairkanooni tareeke se. Kuch din baad jab saabit hua ki mai Krishnamurthy nahi hu, unke commander ne order diya ki mujhe chod diya jayega. Unn kuch dinon me, unme se ek ladki Neena ne mera bohut dhyaan rakha tha. Mere prati uska vyvahar kaafi acha tha aur jald hi mujhe usse pyaar ho gaya. Jab unhone mujhe chodne ki baat ki toh maine unke aage apna prastaav rakha ki main Neena se shaadi karna chahta hu. Unhone mujhe anumati de di aur aaj Neena meri patni hai.
    Show More Show Less
    15 mins
  • बंद आकाश खुला आकाश
    Oct 6 2022
    Maine apne shauk ko poora karne ke liye ek tota khareeda aur usse ek pinjre me band kar diya. Kuch samay baad hi uss pinjre mein tote ki chatpatahat aur bechaini ne hume pareshan kar diya. Jab bhi vo tota dusre toton ke jhund ko dekhta, bechain ho jata. Ek baar pinjra kholne par bhi vo zyada udd na saka aur maine usse phir pinjre mein band kar diya. Phir ek baar toton ka samuh dekhne par vo ekdum pareshan ho gaya magar tab bhi pinjra kholne par vo udd na saka. Uske pankh bhi kamzor ho gaye the aur vo udna bhul gaya tha. Issi tarah samay beet ta gaya aur vo pinjre ko apni niyati maan kar reh gaya. Magar ek din jab kheton me tote aaye hue the, mai pinjre ko lekar wahan pahunchi aur usse khol diya. Tote ne turant bahar kadam rakha aur dheere dheere koshish karta hua tote ke un samuhon ke beench pahuncha. Apno ke beech vo bohot khush tha.
    Show More Show Less
    12 mins
  • बहारें फिर भी आएंगी
    Oct 6 2022
    Mallika aur Aamir ek dusre se bohot pyaar karte the. Magar dharm aur jati ke bandhan ne unke pyaar ki bohut pareeksha li. Mallika aur Aamir ne ek dusre ka sath nahi choda. Sheher me dange hote rahe. Un dono ke upar hamle hote rahe aur unka jeena dubhar ho gaya. Magar phir bhi unhone court marriage ki aur kissi tarah dangaaiyon se bachte bachate hue America ke New Jersey pahunch gaye. Waha Princeton college mein unhe kaam bhi mil gaya. Bohut jald unki zindagi sanwar gayi. Unke do bacche hue. Iss beench unhone bharat se kisi rishtedaar ke sath koi sampark nahi rakha. Jab bacche bade ho gaye aur unki shaadi ho gayi tab party rakhi gayi. Usme unhone apne kuch rishtedaron ko bulaya aur sab pehle ki tarah hi bohut pyaar se mile.
    Show More Show Less
    16 mins

What listeners say about Romance and Relationship Stories by Delhi Press, Season 15

Average customer ratings

Reviews - Please select the tabs below to change the source of reviews.